Jon Eliya Poetry Neya Ik rishta Peda Q Karen Hum Jon elia is the most famous urdu poets of all the time he is now favourite urdu poets of today he was born in 1931 in Amroha but after partition of subcontinent he migrated to pakistan and take part in local mushayeras in karachi and becomes favourite of among pakistani peoples and he died in 2002 in karachi
Neya Ek Rishta Peda Kyon Karein Hum, Bichhadhna Hai Toh Jhagda Kyon Karein Hum.
Wafa, Ikhlaas, Qurbaani, Mohabbat Ab Inn Lafzon Ka Peechha Kyon Karein Hum.
Yeh Kaafi Hai Ki Hum Dushman Nahi Hain, Wafadaari Ka Daawa Kyon Karein Hum.
Kiya Tha Ehad Jab Lamhon Mein Hum Ne, Toh Saari Umar Aeffa Kyon Karein Hum.
Utha Kar Kyon Na Pheinken Saari Cheezein, Faqat Kamaron Mein Tehlaa Kyon Karein Hum.
Barehna Hain Sar-e Bazaar Toh Kya, Bhala Andhon Se Parda Kyon Karein Hum.
Hain Bashinday Issi Basti Ke Hum Bhi So Khud Per Bhi Bharosa Q Karen Hum
Nahi Duniya Ko Jab Parwaah Humari, Toh Phir Duniya Ki Parwah Q Karen Hum
Padi Rehne Do Insanon Ki Lashein, Zameen Ka Bojh Halka Q Karen Hum
Ye Basti Hai Musalmanon Ki Basti Yahan Kar-e Masiha Kyon Karein Hum
Post a Comment